top of page

(Bariwaayat Sayiddna Imam Aasim Koofi [RA] wa Sayyidna Hafas Koofi [RA])

To Read online click on the Title Page

To listen audio & download in brief aspect from the book:

Bohot se log fan-e-tajweed-wo-ilm-e-qirat (Art of phonetic recitation of Qur’an] ko Qur’an-e-Kareem se alag samajhte hain aur sirf achi awaaz se padhne ko qirat samajhte hain. Yeh bilkul galat hai, balke tajweed ka seekhna zuroori-o-laazim hain. Jisne Qur’an Hakeem ko tajweed ke saath na padha who gunhegaar hai, isliye Allah Ta’ala ne Qur’an-e-majeed ko tajweed ke saath naazil farmaya aur usi tarah tajweed ke saath humtak pohoncha.

Tajweed ek Ilm hai jis se Qur’an-e-Majeed ke huroof-wo-kalmaat ko sehet aur khoobi se padhne ke qawaaed maa’loom hote hain. Qur’an shareef ko tarteel ya’ne sahi talaffus se teher teher kar saaf aur waazi’ taur se padhne ke Allah Ta’ala ke hukm [وَرَتِّلِ الْقُرْآنَ تَرْتِيلًا] [Al-Muzammil:04] ki bajaa awaari hoti hai. Is tarah padne waale ko qaari kehte hain aur ek ache qaari ka darja wali ke barabar hota hai.

Waazi’ ho ke saheeh talaffus [pronounciation] na kiya jaaye toh maa’ne kuch ke kuch nikalte hain maslan “الحمدالله” ko “الهمد الله” padhein toh ma’ne honge “Aag bujhane Allah ke liye”, Isi tarah “عالمين” ko “آامين” padhein to ma’ne “ranj-o-a’lam” ke honge. Tajweed (talaffus) ki galtiyon se aksar kufr aur shikr ke bhi murtakib [guilty] hote hain. Lihaaza Tajweed ki ahmiat ke madd-e-nazar is kitaab ki ishaa’t amal mein aayi. Is kitaab ke aakhri safaat par hafte waari imtehaan ilm-e-qirat-o-tajweed (weekly feedback test) ke liye objective type sawalaat ke parche tajweed ki mashq [exercise] ke taur pe shaamil kiye gaye hai. Is ke alaawa sayiddna imam aasim koofi alaih rehma ki usool-e-qirat par mabni aese ikhtelafaat-e-qirat jisko sayiddna she’ba [ra] aur sayyidna hafas [ra] donon imam-e-qirat har jaga qur’an mein woh kalmaat jo ek hi tareeqe se padhte hain un ko qaraeen ke ittalla ke taur par shaamil kiya gaya hai.


Yeh kitaab jumla 112 safaat par mabni hai. Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho.

The complete book can be viewed and downloaded by clicking on the following PDF icon:
bottom of page