A Few Words About Me
Mera naam Mir Lateefullah Shah Quadri hai, nasb Hussaini, laqb Syed Mohiuddeen, Urf Muneer Pasha aur takhallus Quadri hai. Mere walid-o-majid Hazrat Khwaja Abul Khair Mi Momin Ali Shah Quadri Al-Hussaini hain. Main apne pidar-e-buzrugwar ka farzand-e-akbar-o-jaanasheen hun. Mere abaa-wo-ajdaad ka silsila Qutb Shahi Khaandaan se milta hai aur mere pardada Hazrat Mir Rustum Ali Quadri [Rahmatullah Alaih] Hyderabad ke muqaam Patancheru mein muqeem rahe aur mere Walid-e-Muhtaram takmeel-e-ta’leem aur mulaazimat ke silsile mein Shehr-e-Hyderabad-Dakhan ko apna watan banaaliya. Is tarah meri nushonuma aur rehaaesh Shehr Hyderabad mein hi hui.
Maine ibtedaai ta’leem jaise dars-e-qur’an, tajweed-e-Qur’an-wo-hadith-wo-fiqha apne waalid-e-muhtaram se haasil ki. Maine apni engineering ki degree MIETE [Institute of Electronics and Telecommunication] aur Post Graduation [MS (ece)] ki takmeel American University se ki.
Maine 1963 mein baumar 18 saal mahkum-e-Police-
Communication Hyderabad, Andhra Pradesh mein ba-haisiatn Sub-Inspector mulaazimat ikhtiar ki aur meri mulaazimat se wazeefe par subukdoshi saal 2003 mein ba haisiat Muhtamim-Police [S.P. of Police] hui. Dauraan-e-Mulaazimat mujhe behtereen kaar kardagi ke bina par President Police Gold Medal, Padakam C.M. Police Medal aur deegar 20 rewards ke I’zaaz se sarfaraaz kiya gaya. Is tarah maine mehkum-e-Police Communicate ki jadeed taraqqi [Modernization] mein ahem hissa ada kiya aur is silsile mein USA aur UK ka daurah bhi karne ka mauka haasil hua.
Jahan tak meri azwaaji zindagi ka ta’alluq hai, meri shaadi ba-umar 25 saal 1972 mein hui aur ba-fazl-e-ta’ala mere do ladkiyan aur do ladke hain aur Masha’allah sab ta’leemi aafta aur sahib-e-aulaad hai.
Mere Walid-e-Buzjurgwar ka shumar Hyderabad ke sadaat gharane ke mashoor saleheen-wo-akhtaab-e-zamaana mein hota hai. Aap [RA] apne jad-e-Aala Hazrat Mehboob-e-Subhaani Ghous-e-Azam As-shaikh Syed Abdul Quader Jeelani [RA] ke shaydai-wa-noor-e-nazar the. Aapki [ra] puri zindagi behtareen akhlaaq aur kirdaar aur shukr-e-Ilahi ka namoona rahi. Aap ko Rabbul Izzat Allah I ne qalb-e-saleem aur chashm-e-beena se sarfaraz farmaya tha. Be’shumar murideen-wo-mu’takhadeen aap [ra] ki Ta’leem-wo-Tarbiat aur sohbat-e-baabarkat se fehm-e-sahee aur taskiyah nafs se aarasta hote rahe. Mujh kamtar par bhi aapki [ra] khususi karam-nawaziyan aur faiz-rasaniya huin.
Bachpan hi se meri baatini aur zaahiri ta’leem-o-tarbiat mere Waalid-e-majid sayyedi-wa-murshadi, Dr Khaja Abul Khair Mir Momin Ali Shah Quadri Al-Chisti [Rahmatullah Alaih] ki raast-o-nigraani mein teh paayi, uske alaawa Murshad-e-Kamileen Hazrat Behr-ul-Uloom Mohammad Abdul Qadeer Siddiqui Al-Quadri [Rahmatullah Alaih], Hazrat Khaja Abul Faiz Shah Mohammad Khalid Wajoodi Al-Quadri, Hazrat Sharfuddin Pia Quadri [Rahmatullah Alaih] aur Hazrat Shujaauddin Siddiqui Al-Quadri Farzand-o-Janasheen Hazrat Behr-ul-Uloom Hasrat Siddiqui [Rahmatullah Alaih] ki sarparasti-wo-faiziyaadi ka sharf haasil raha aur khurqa-e-khilaafat se bhi sarfaraazi hui.
Zamaan-e-Haazira mein millat ki naujawaan nasal maghribi jadeed taraqqi se mutaa’sir hokar maadda parast [materialistic] zindagi ko apna rahe hain. Un mein Islami saqaafat [Culture], roohaniat aur husn-e-akhlaaq ka fuqdaan hai, nateejatan woh ehsaas-e-kamtari ya phir ehsaas-e-bartari ki jaise maa’shirati beemiariyon se do chaar hote nazar aarahe hain, aur apna itminaan-e-qalb kho baithe nazar aarahe hain. In ko islami aman aur salamti ki raah par waapis laane ke madd-e-nazar, mujh haqeer ne apne waalid-e-maajid aur murshid-e-kaamileen ke silsila-e-ta’leem-o-tarbiat ko aam fehm andaaz mein qarieen ki khidmat mein pesh karne ki zururat ke pesh-e-nazar darsi kutub ki tarteeb-wo-isha’t ke ahem kaam ki shuruwaat ke liye Lateef Academy ki buniyad daali aur bafazal-e-ta’ala deeniyati aur akhlaaqi nazriye fikr ki takmeel mein kutub-e-irfani, Quran-o-Sunnat, Tasawwoof-wa-sulook, seerat-wa-sawaneh, ma’moolat-wo-akha’ed, tareekh-o-tehqeeq, urdu nazm-o-nasr, Islah-e-fikr wa Ea’tekhaad, islah-e-ma’shirah aur na’tiyah adab jaise muta’did (many) maozuu’aat ke tehet kitabain shaya horahi hain jo nihayat aam fehm hain balke hazb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi ista’maal kiya gaya hai taakey qarieen (khusuusan naujawan tabqe) ko samajhne mein asaani ho.
Mere liye yeh amar ba’s-e-itminaan hai ke nasrf in kutub ki tarteeb-wa-tasreeh-wo-tasheeh mein har mumkin ahtiar se kaam liya gaya, balke jin kutub ki isha’at hui hai un ko nihayat kabil Uluma-e-deen ne padha aur zaivar-e-tas’heeh aur ta’eed se muzaiyyan farmayaa. Un ulma mein, Hazrat Moulana Qazi Syed Azam Ali Sufi, Sadr Kul Hind Jamiat-ul-Mashaekh, Hazrat Mohammad Faseeuddin Nizami, Mohstamim kutub khane Jamie Nizamiya (Hyderabad), Hazrat Moulana Mufti Khalil Ahmed, Sheikh Al Jamiya Nizamiya (Hyderabad), Moulana Mohammad Azeemuddin, Sadr Mufti Jamiye Nizamiya (Hyderabad), Hazrat Shah Syed Waheedullah Hussaini Al-Quadri Al-Multani, Kaamil Al-Hadith Jaa’miya Nizaamiya (Hyderabad) ke asma-e-grami qaabil-e-zikr hain. In kutub ko Hyderabad ke balke barr-e-sagheer ke musannad idaar-e-Jaamae-Nizamiya ki library mein rakha gaya, taake fazil / kamil taleem hasil karne wale talba mustafid hosaken.
Allah Ta’ala se Meri Du’a hai ke “ae Arhamar-Rahimeen ham sab ko deeni ta’leem-o-akhlaaq ki bulandion key bhar poor sarmaae hayaat se nawaaz de aur khusoosan hamaari naujawaan nasl ki akhlaaqi aur roohani ta’leem-o-tarbiat ki tofeeq ataa farmaae. Mujh haqeer ki sa’ee ko ba-tufael-e-habeeb-e-Khuda [SAWS] qubool-o-maqbool farmae. Aur millat-e-islamiya ke talba-o-taalebaat ko in kutub se istefaada haasil karneki toufeeq ataa’ farma. Ameen!
بجاہ اشرف الانبیاء والمرسلین سیدنا محمد الرؤف الامین صلی اللہ علیہ و علیٰ اٰلہ الطاھرین و اصحابہ الراشدین والحمد للہ رب العٰلمین
فقیر و خادم
سید محی الدین میر لطیف اللہ شاہ قادری
ؒفرزند و جانشین ڈاکٹر خواجہ ابو الخیر میر مومن علی شاہ قادری
مورخہ ۲؍ذالحجہ۱۴۳۷ ھ م ۵؍سپٹمبر ۲۰۱۶