top of page

Kashkool-e-Quadriya

To Read online click on the Title Page
To listen audio & download in brief aspect from the book:

Kashkool-e-Quadriya (bab-II) Tauheed-o-Maa’rif ki is kitab mein, Akhlaaq-e-Soofiya ke liye zururi 42 Ausaaf-e-Mehmoodah ko 4 hisson (4 Parts) mein nihaayat aasaan aam fehm andaaz mein qaraeen ke liye pesh kiya gaya hai. In ausaaf-e-soofiya se muta’laq ishaa’dat-e-Aarifeen-wo-Arbaab-e-Tehqeeq ma’ain (with) mukhtasar sawane padhijaasakti hain. Qaraeen in 42 Ausaaf-e-Mehmoodah ke jadwal (flow-chart) ko kitab ke pahle safe (page) per mulaahezah (perceive) karsakte hain.

Kitab ke hisse awwal (part-1) mein Sifat-e-Taubah, us se muta’luqaa (related) teen aur sifaat, aur Sifat-e-Aadaab, us se muta’luqaa (related) chaar aur sifaat ko waazeh’ andaaz mein samjhaya gaya hai.Isi tarah, doosre hisse (part-2) main, Sifat-e-Zuhad us se mutaa’laq paanch aur sifaat, Sifat-e-Tasawwuf us se mutaa’laq paanch aur sifaaf ko bayan kiya gaya hai.

Isi tarah, teesre hisse (part-3) main, Sifat-Sidq us se mutaa’laq 6 sifaat. Aur Sifat-e-Mohabbat us se mutaa’laq aur 4 sifaat ki wazaahat ki gayi hai. Isi tarha, chouthe hisse (part-4) main Sifat-e-Tauhid us se mutaa’laq aur 3 sifaat. Sifat-e-Ishq us se mutaa’laq aur 3 sifaat ko badi husn-o-khoobi se waazih’ andaaz mein pesh kiya gaya hai. Ummeed ke mu’tabar qaraeen, khusoosan talbaa-e-Ilm-e-tasawwoof ko basahoolat istefaada hoga.

Yeh kitab 272 safhaat (pages) per jumlah 130 mufeed sawalaat-o-Jawabaat per mushtamil hai. Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho.

The complete book can be viewed and downloaded by clicking on the following icon:
bottom of page