top of page
To Read online click on the Title Page
To listen audio & download in brief aspect from the book:

Aaj ke jadeed taraqqi ke zamaane mein hum apne bachchon ko Asri Ta’leem [Modern Education] dilaane mein aese masroof hain ke bachchon ko deen-e-Islaam ke Aslaaf ya’ne Paigambar r, Hazraat-e-Ahle Bait [RA] aur Sahaaba-e-Karaam [RA] ki mohabbat aur unke mutaa’laq ilm jo Deen-e-Islaam ki buniyaad hain se waqif karaane par dhiyaan hi nahi dete, nateejatan, hamaari aulaad  maada parasti ki ziagi main masroof  ho kar ehsaas-e-kamtari ya phir ehsaas-e-bartari jaesi  kamzoriyon ka shikaar hoti nazar aarahi hai aur  itminaan-e-qalb kho baithte hain. Aksar talbaa aur taalebaat maayoosi ka shikaar ho kar khush- kashi karne se bhi peeche nahi hat te. Chunaanche in nawnihaalon [kids] ko Islam kea man aur slaamti (Peace and Security) ke raaste par waapis laane ki garz se kitaab Tauheed-o-Risaalat murattib ki gayi hai. Is kitaab mein bachchon ke liye hasb-e-zail mouzooaa’t nihayat aasaan andaaz main shamil kiye gaye hain:

Sacha deen [True Faith/Way of Life], Allah Ta’ala [Almighty Allah], Eeman-e-Mujammal-o-Mufassal, Allah ke Rasool [Prophets of Allah], Allah Ta’ala ke mutaa’laq musalmaanon ke aqeede [Islamic Creeds about Allah], Allah ki kitaabein [The Holy Books], Firishte [Angels], Qiyaamat [The Day of Resurrection], Taqdeer [Fate], Bade bade Paigambar [Major Prophets], Hamaare Paigambar [Our Beloved Prophet], Khulfaa-e-Rashideen [The Orthodox Caliphate], Seerat-e-Paak-e-Rasoolallah (SAWS) [Biography of Rasoolullahr], Jang-e-badr [Battle of Badr], Jang-e-Uhud [Battle of Uhud], Suleh Hudebiya [Truce of Hudebiya], Fateh Makkah [Victory of Makkah], Hajjat-ul-Widaa [Last Haj], Azwaaj-e-Mutahharaat [Spouses of The Prophet (SAWS)], Hazrat Khadeejatul Kubra [RA], Hazrat Ayesha Siddiqa [RA], Hazrat Bibi Fatima [RA], Sayyidna Imam Hasan [RA], Sayyidna Imam Hussain [RA], Sayyidna Muslim [RA] ki shahadat, Waaqe’ Karbalaa aur Sahaabae’ Karaam (Ashraa’ Mubashiraa) [Ten Promised paradise companions of the Prophet (PBUH)] jaise mouzooaa’t shaamil kiye gaye hain jinhe mukhtasar magar wazeh, aam fehm andaaz ke saath jo bachon ke liye mufeed ho sakti hain balke bade bhi istefaadah haasil karsakte hain murattib aur ishaa’t kiya gyaa.

Yeh kitaab 80 safaat aur 102 sawaalaat-o-jawaabaat par mabni hai. Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho.

The complete book can be viewed and downloaded by clicking on the following PDF icon:
bottom of page